Kabhi gham yun bhi hota hai...

Kabhi gham yun bhi hota hai...

Kee sansain toot jati hain
Kisi ki rah takte takte
Nigahain sookh jati hain
Jinhen ana ho jeewan main
Woh aa nahi paatay
Jinhen ana ho khuwabon main
Woh rastay bhool jatay hain
Kabhi gham yun bhi hota hai...
Jahan dil apna khilta hai
Waheen mausam badalta hai
Hamain jo naam lena ho
Amanat aur ki woh ho jata hai
Hamai jo baat kerni ho
Sira wo mil nahi pata
Kabhi gham yun bhi hota hai...
Jahan phoolon ki aahat ho
Khizan bhi tan ke aati hai
Koi dharkan sunaey gee
Hamain kya raaz ki batain
Kabhi jab aankh dil per ho
To dil hi mil nahi paatay
Kabhi gham yun bhi hota hai
Yeh lawa beh nahi pata
Khwahish aesi hoti hai
Mager hum roo nahi saktay
Sar-e-maqtal kharay ho kar
Kabhi tum ko pukarain to
Sada'ain mil nahi sakti
Kabhi gham yun bhi hota hai
Mar janay ko dil chahay
Koi marnay nahi deta
Kabhi gham yun bhi hota hai...
Hamain hi gham kyun hota hai?Usay gham kyon nahi hota?