Main royee saari raat bahut
Har gam aur khushi thee jamaney kee lekin
Mai tanha thee us raat bahut
Phir aankh se ek sawaan barsa
Jab sehar hui to khayal aaya
Woh badlee kitni tanha thi
Jo barsi saari raat bahut.....
Kya Tum B Roye Ho Kabhi..?.
Es Qadar Toot Ker
Meri Yadon Se Nidhal Ho Ker
Mujh Se Milne Ko Betab Ho Ker.
Kya Tum B Roye Ho Kabhi???
Bolo na ..
Hoontho ki juban ye ansoo kehte hain
Jo chup rahtey hain fir bhi bahte hain
Aur in aasuon ki kismat to dekhiye
Ye unke liye bahte hain
Jo in ankhon main rahte hain
Jo nazar se guzar jaya karte hain,
Woh sitary aksar tut jaya karte hain..
Kuch log dard ko bayan nahi karte,
Bus chup chap bikhar jaya karte hain...
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
Aaj fir aankh se jo nikle aansoon
Chupke se hum ne pee liye aansoon
Kehna to chahte the par keh na sake
Kiyo fir aankh me aaye aansoon
Apni taqdeer pe hanste the hum to sada
Fir yeh aachaanak kiyo yeh sitam gujra
Chah kar bhee na rok paaye hum
Aur fir se aaye aansoon
Teri ulfat me rahe raat din
Tujhe sajde kiye raat din
Beete pal kee yaad
Aaj fir le aaye aankh me aansoon...
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
Kush kami si hai tere bagair
Na rang na roshi hai jindgi me tere bagair
Waqt apni raftar se chal raha hai
Bas dhadkan thami hai tere bagair
Na barish hai na dhoop
Phir bee dil mein tapish si hai tere bagair
Bahut roka hai badal ko barsane se
Phir bhi aankho mein nami si hai tere bagair...